Khojun main khud ko tum mein
Par khojun main tum ko kis mein
Khoja maine khud ko itna
Ki khoya tumko aur khoya khud ko
Khoja maine tumko itna
Ki na paaya tumko aur na paaya kisi ko
Khoya maine itna hai
Ki ab kuch paana lagta sapnaa hai
Ab toh khaalipan hi lagta apnaa hai
Kya khojne chalein thay hum bhi is raah par
Na khoja na paaya sirf khoya aur lutaaya…